Aai Qatil E Shabbir (A.s.) Tu Kya Kaat Raha Hai

Lyrics Of Aai Qatil E Shabbir (A.s.) Tu Kya Kaat Raha Hai

See Video Below And Scroll Down For Lyrics

YouTube Video
Lyrics

Khanjar Se Aayat E Kaat Raha Hai…..2

Aai Qatil E Shabbir (A.s.) Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Dar Asl Payambar (S.a.w.w.) Ka Gala Kaat Raha Hai

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Jari Hai Labe Shah (A.s.)Tasbeeh E Ilahi…..2

Sheh Rag Nahi Tu Zikre Khuda (S.w.t.) Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Naize Ki Ani Chaadar E Zainab (S.a.) Me Aadi Hai…..2

Naiza Sar E Zainab (S.a.) Ki Rida Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Ulfat Se Jinhe Choomte Rehte The Payambar (S.a.w.w.)…..2

Un Hathon Ko Yeh Kaun Khada Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Masooma (S.a.) Ke Zakhmon Me Padhe Ret Ke Zarre …..2

Har Zarra Hi Kaate Ki Tarha Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Aai Allah (S.w.t.) Tere Deen Ka Nasir Hai Yeh Kunba…..2

Chup Chap Jo Arkaro Jafa Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Ek Tarf To Zanziron Ne Aabid (A.s.)Ko Sataya…..2

Gam Bali Sakina (S.a) Ka Juda Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Jari Hai Labe Shah (A.s.) Pe Tasbi He Ilahi

Sheh Rag Nai Tu Zikre Khuda (S.w.t.) Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

 

Taukeer  Dua Aamad E Mahdi (A.t.f.s.) Ki Kia Kar

Yeh Wakt Kathin Maula Tera Kaat Raha Hai

 

Aai Qatil E Shabbir (A.s.)Tu Kya Kaat Raha Hai…..2

Comments